Al-Quran Full Audio With Urdu Translation


Channel's geo and language: India, Hindi
Category: Religion


Queen Sharif With Urdu Translation

Related channels

Channel's geo and language
India, Hindi
Category
Religion
Statistics
Posts filter


14. Hazrat Sayyadna Idrees Alaihissalam Jannat Me Pahunche.15. Firaun Ka Lashkar Gark Hua.

16. Pahli Baar Baarish Huyi.

17. Aasman Kursi Kalam Pahaad Samandar Sab Isi Din Paida Hue

18. Isi Din Ashaabe Kahaf Karwatein Badalte Hain

19. Qayamat Isi Din Aayegi.

20. Aur Sayyadna Imaam Husain Raziyallahu Taala Anhu Ki Shahadat Huyi.

*📚Jaame Sageer,jild 5,safah 34/226*

*📚Ajaybul Makhtuqat,safah 44*

*📚 Guniyatut Talebeen,jild 2,safah 53*

*📚Nuzhatul Majalis,jild 1,safah 145*

Isliye Yahi Mahina Islami Naye Saal Ka Pahla Mahina Qaraar Paaya,ab Sochiye Ki Jis Din Jis Mahine Kitne Hi Azeem Kaam Murattab Hue Agar Us Mahine Yaani Islami Naye Saal Ki Koi Mubarak Baad Pesh Kare To Kya Harj He ?

*✍️Pathan Moin Raza Azhari,***


*🌹SAWAL:-🌹*
Islamic Naye Saal Ki Mubarak Baad Dena Kesa ?kuchh Log Kahte He Ki Isme Imamse Husain Radiallahu Anhu Ki Shahadat He To Gam Manana Chahiye Mubarak Baad Nahi Deni Chahiye. Is Ki Kya Asl He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Islamic Naya Saal Muharramul Haram Se Shuru'a Hota He, Or Ye Mahina Sog W Gam Manane Ka Nahi He. Balki Barkato Or Rahemato Ka Mahina He. Or Islami Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Me Koi Harj Nahi. Agar Koi Sunni Dusre Sunni Ko Mubarak Baad Deta He To Ma'azAllah Imame Husain Ki Shahdat Par Nahi Balki Naye Mahine Ke Aamad Ki Khushi Me Deta He.

Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Wala Is Baat Par Khush Hota He Ki Allah Ne Hame Zindagi Ka Ek Or Saal Bhi Dikha Diya He Jisme Hame Tauba Or Nek Amal Kamane Ki Mazeed Mauqa Mayassar Aa Sakta He. Is Liye Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Me Koi Harj Nahi. Ek Musalman Par Dusre Musalman Ke Jo 6 Huquq He Unme Se Ek Ye He Ki Jab Use Khushi Pahunche To Use Mubarak Baad De.

Hazrat Abdullah Bin Hussham Radiallahu Allahu Anhu Ki Riwayat Jise Imam Tabrani Ne Al-awsat Me Darj Kiya Usme Vo Farmate He.

Naye Saal Ya Mahine Ki Aamad Pe Sahaba E Kiram Radiallahu Allahu Anhum Ek Dusre Ko Ye Duaa Sikhate The. Ay Allah Hame Is Mahine Me Aman, Eman Salamati, Or Islam Ke Satb Dakhil Farma. Shaytan Ke Hamlo De Bacha Or Rahman Ki Raza Mandi Ata Farma.
*📚(Al-Tibrani, Al-Awsat : 6241)*

👉Or Jo Log Kahte He Ki Is Mahine Me Imam Husain Radiallahu Anhu Ko Yazeed Paleed Ne Zulmo Sitam Kiye Or Shaheed Kiya Is Liye Mubarak Baad Nahi Dena Chahiye. Vo Log Zara Ise Bhi Padhe.

Allah Rabbul Izzat Qurane Majeed Me Irshad Farmata He Ki,
Jo Khuda Ki Raah Me Maare Jae Unhe Murda Na Kaho Balki Vo Zinda He Haan Tumhe Khabar Nahi.
*📚(SURA E BAQAR, AAYAT-154)*

Or Jo Allah Ki Raah Me Maare Gaye Hargiz Unhe Murda Na Khayal Karna Balki Vo Apne Rab Ke Paas Zinda He Rozi Pate He.
*📚(SURA E AALE IMRAN, AAYAT-169)*

Is Aayat Se Awwal Tou Ye Hi Sabit Ho Gaya Ki Jo Shaheed Huwe Woh Isi Tarah ALLAH Ke Yaha Zinda Hai, Bas Is Duniya Wale Ko Iska Sha'ur Nahi. Aur Hadees Me Tou Hai Ki Kisi Ki Maut Par 3 Din Se Zyada Gham Na Kare, Agar Shaheedo Ki Maut Ko Maut Samaj Kar Gham Bhi Kiya Jaye Tou Woh Bhi Is Duar Me Mumkin Nahi, Kyunki Hadees Me Gham Ke Din Sirf 3 Bataye Gaye Hai, Jab Shohda E Karbala Ko Aaj 1300 Se Zyada Ho Gaye. Fakhr Is Baat Par Karna Chahiye Ki Jin Yazeedio Ne Us Daur Me Islam Ki Roshni Ko Bujana Chaha Use Us Jannat Ke Nau-jawano Ke Sardar Hazrate Hussain Radiyallahu Anhu Ne Apne Khoon Se Us Chirag Ko Jalaya Aur Islam Ki Roshni Bakhshi Jinki Badolat Aaj Hum Tak Aasani Se Islam Pahucha Hai.

Huzur Sallallahu Alaihi W Sallam Irshad Farmate He Ki Shaheed Ko Qatl Ki Bas Itni Hi Taklif Hoti He Jitni Chinti Ke Katne Se Hoti He Warna Maut Ki Taklif Ke Bare Me Riwayat He Ki Kisi Ko Agar 1000 Talwar Ke Zakhm Diye Jaaye To Iaki Taklif Maut Ki Taklif Se Kahi Zyada Halki Hogi Or Allah Ke Yaha Use 6 Inamat Diye Jate He.
*📚(SHARAHUSSUDOOR, SAFA-31)*

Huzur Sallallahu Alaihi W Sallam Ns 3 Din Se Zyada Shog Manane Se Mana Farmaya He.
*📚(BUKHARI SHAREEF, J-2, S-804)*
*📚(MISHKAAT SHAREEF, J-1, S-486)*

👉Aaiye Dekhte He Muharram Ki 10 Tarikh Ko Kya Kya Huaa.

1. Hazrat Sayyadna Aadam Alaihissalam Ki Tauba Qubool Huyi.

2. Hazrat Sayyadna Yunus Alaihissalam Ki Tauba Qubool Huyi Aur Aap Machhli Ke Peit Se Baahar Aaye.

3. Hazrat Sayyadna Nooh Alaihissalam Ki Kashti Joodi Pahaad Par Thahri,us Din Shukrane Ke Taur Par Aapne Roza Rakha Aur Tamam Ko Roza Rakhwaya.

4. Hazrat Sayyadna Ibraheem Alaihissalam Paida Hue.

5. Hazrat Sayyadna Moosa Alaihissalam Paida Hue.

6. Hazrat Sayyadna Eesa Alaihissalam Paida Hue.

7. Hazrat Sayyadna Yusuf Alaihissalam Qaid Se Baahar Aaye.

8. Hazrat Sayyadna Ibraheem Alaihissalam Par Aag Gulzar Huyi.

9. Hazrat Sayyadna Ayyub Alaihissalam Ne Shifa Paayi.

10. Hazrat Sayyadna Yaqoob Alaihissalam Ki Aankhon Ki Raushni Wapas Aayi.

11. Hazrat Sayyadna Yusuf Alaihissalam Kunwe Se Baahar Nikle

12. Hazrat Sayyadna Suleman Alaihissalam Ko Baadshahat Mili.

13. Hazrat Sayyadna Moosa Alaihissalam Jaadugaro Par Gaalib Aaye


*Naye saal ki Mubaarakbaad dena JAIZ AUR MUSTAHAB hai*

Aaj kal whatsapp aur social media par ek naya mesg chala hai k muharram me naye saal ki mubarakbaad mat do.
Ye ahlebait ki shahadat ka mahina hai isliye isme khushi ki koi baat na ki jaaye.

Ye ek Ajeeb ehmakana message aur faisla hai nayi nasl ke khudsaakhta rehnumaaon ka.

Dar asl baat ye hai ke raafiziyon ke nazdeek ahle bait aur 12 Imaam ka maqaam Ambiya se bhi afzal hai isliye inke nazdeek inki shaan ke aage wo kisi ko kuch nahi samajhte.

Poori duniya ki qaumein apne naye saal ko ehtasham ke saath manaati hai magar musalmaan na manaayen ..... to kya wo isaaiyon aur nasraniyon ke saath manaaye??

Rabi un Noor Huzoor e Paak  ﷺ ki paidaish aur wisaal dono ka mahina hai inse poocha jaaye wisaal par jashn kaisa..??

*Agar kisi ki wafaat par gam manana hai to Huzoor e Akram sallallaho alaihi wasallam se badh kar kaunsi zaat hai jo iski haqdaar hai.?*

Magar 1400 saal se Sahaba taabayeen tab e taabayeen auliya e kaamileen sab is baat par muttafiq hain ke Rabi un Noor me khushiyan manaayi jaaye.

Kya koi kahega k sunni Huzoor ke wisaal se khush ho kar jashn mana raha hai..? Ma'azAllah..

Aur itna hi gam aur maatam se lagao hai ke koi khushi ki baat na karo to phir raafziyon ka deg pe deg sharbat aur khichda baatna kaisa hai??? Sharbat khushi ke mauqe pe pilaaya jaata hai ya gam ke?

Muharram me beshumaar waqiyaat hain Jinka ta'alluq Ambiya e Kiraam se hai aur ALLAH ki azeem nishaaniyan aashurah ke din roze awwal se hoti aayi hai.
Kya sabko faraamosh kar diya jaaye??

*Imaam e Aali Maqaam ki shahadat Islaam ki jaan hai* aur *Deen e paak ko Aap ne apne khoon se seencha* hai magar iske bawajood Ahlesunnat maatam nahi karte ye raafiziyon ko Hazrat e Sakina ki baddua hai jo aaj tak ye seena peet rahe hain.

Ahlesunnat ne kabhi maatam nahi kiya hai.

Lihaaza Raafziyon ki is saazish ko samjhein jo aaj kal sunniyon ki zubaani Imaam e Paak ki muhabbat dikha kar samjhaya jaa raha hai.
Ye muhabbat nahi hai balke Shariat e Mustafa se inheraaf hai.

*ALLAH paak Imaam e Aali Maqaam ka saccha aashiq banaaye.* Aameen.

https://t.me/Al_Quran_With_Urdu_Translation



































20 last posts shown.