📜 *wazahat:* Nabi Kareem ﷺ ne hume ye samjhaya ke aurat ke maal-o-daulat, hasab-o-nasab, aur khoobsurti ke bajaye deen ko afzal qaraar dena chahiye, kyun ke ek biwi sirf shohar ki saathi hi nahi balki aane wali nasal ki Maa bhi hoti hai. Jab aurat deendar hogi to wo apni aoulad ki deeni tarbiyat mein bhi ahem kirdar ada kar sakegi. Is liye mehaz zahiri ya maadi cheezon par tawajjo dene ke bajaye hume deendar aurat ke intekhab par tawajjo deni chahiye taa ke khandan ki buniyad deen par rakhi ja sake.
Arabi muhawara "تربت يداك" (yani tere haath khaak alood ho) yahan bad-dua ke tor par nahi balke Arabi zuban mein ye targheeb aur tawajjo dilane ke tor par istemaal hua hai. Is ka maqsad ye hai ke mard shadi ke maamle mein deendari ko sab se zyada ahmeyat de. Dosre awaamil jaise maal-o-daulat ya khoobsurati agar mojood ho to ye izafi nematen hain, lekin agar ye cheezen na bhi hon to bhi deendari par koi samjhauta nahi hona chahiye.
Sahih Bukhari: jild 7, kitab ul-Nikah 67, hadith no. 5090

@Allah_Reminder 🕊