●●●☆○●□■☆■□●○☆●●●
●Lailatul Qadr Ka Bayaan●
●●●☆○●□■☆■□●○☆●●●
Part No : ⑩
•••••••••••••••
Charo Imamo Ke Aqwal
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•
Aaimma-e-Arab (Yaani Char Imamo) Mein Bhi Is Raat Ke Ta’ayyun Ke Bare Mein Iktilaaf Hai! Hazrate Sayyeduna Imame Aazam Abu Hanifa (Radi’Allahu Ta’ala Anhu) Ka Qaul Ye Hai Ki Ramzan’ul Mubarak Ki 27wi Shab, Shab e Qadr Hai! Hazrate Sayyeduna Imam Shafai (Rahmatullahi Ta’ala Alai) Ke Nazdeek Mazboot Qaul Ye Hai Ki 21wi Shab Ramzan’ul Mubarak Ko Shab e Qadr Hone Chahie! Jab Ke Sayyeduna Imam Malik Aur Sayyeduna Imam Ahmad Bin Hambal (Radi’Allahu Ta’ala Anhu) Ke Nazdeek Shab e Qadr Ramzan’ul Mubarak Ke Aakhiri Ashrah Ki Taq Raaton Mein Hoti Hai! Magar Iske Liye Koi Ek Raat Makhsoos Nahi! Har Saal In Raaton Mein Ghumti Rehti Hai! Yaani Kabhi 21wi Shab Lailatul Qadr Ho Jati Hai To Kabhi 23wi, Kabhi 25wi To Kabhi 27wi Shab Kabhi Kabhi 29wi Shab Bhi Shab e Qadr Ho Jaaya Karti Hai!
Shab e Qadr Badal Thi Rehti Hai!
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•
Baaz Buzurgo Ne Hazrate Sayyeduna Shaikh Abul Hasan Iraqi (Rahmatullahi Ta’ala Alai) Ka Irshaad Naql Kiya Hai Ki Aap (Rahmatullahi Ta’ala Alai) Farmate Hai, Main Jab Se Balig Huaa Hoon Alhumdulillah Kabhi Aisa Nahi Huaa Ki Maine Shab e Qadr Ko Na Dekha Ho! Phir Apna Tazurba Irshaad Farmate Hai:-
“Jab Kabhi Itwar(Sunday) Yaa Budh(Wednesday) Ko Pehla Roza Hua To 29wi Shab, Agar Peer(Monday) Ko Pehla Roza Huaa To 21wi Shab, Agar Pehla Roza Mangal(Tuesday) Yaa Juma(Friday) Ko Huaa To 27wi Shab, Agar Pehla Roza Jumeraat(Thursday) Ko Huaa To 25wi Shab Aur Agar Pehla Roza Hafte(Sunday) Ka Huaa To Maine 27wi Shab Mein Shab e Qadr Ko Paaya!
📖Nuzhatul Majalis
Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ
طالِبِ دُعا
محمـــــــد طــــاهـــر قـــــادری رضـــــــــوي
Talib-e-Dua
Muhammad Tahir Qaadri Razvi
📱 +91 7208687505
🅰HLE SUNNAT 🅰HLE JANNAT
https://m.facebook.com/AhleSunnatAhleJannat786 ─═─═─═─═─═─═─
Join Our Telegram Channel:┯┯
https://t.me/AhleSunnatAhleJannat786 ─═─═─═─═─═─═─
Subscribe Our YouTube Channel ┯┯
https://www.youtube.com/AhleSunnatAhleJannat786