❤️🪔Happy Diwali, everyone meri taraf se aur poori Maths Mania team ki taraf se ❤️
Umeed hai aap sab apne ghar pahunch gaye honge. Aur jo abhi ghar nahi ja paaye, koi baat nahi… jahaan bhi ho, apne tareeke se Diwali zaroor celebrate karna. 🫂
Dekho, padhai toh poore saal chalti hi rehti hai. Kabhi classes, kabhi mocks, kabhi revision, Lekin zaroori nahi ki har din bas padhai hi ho.
Kabhi-kabhi ek din ka break lena, family ke saath waqt bitaana, thoda enjoy karna bhi zaroori hota hai. Isse dobara fresh mind aur achhi energy ke saath shuru kar paate hain.
Toh aaj padhai ki tension bilkul mat lena. Achhe se Diwali manao, gharwalon ke saath time spend karo, mithai khao aur khoob enjoy karo. ❤️
Aur haan, ek baat hamesha yaad rakhna - sirf apne goals tak pahunchna hi zaroori nahi hai, us safar mein chhoti-chhoti khushiyon ko jeena bhi utna hi zaroori hai.🧿
Aap sabki life mein bahut saari khushiyaan aayein. Aane wala waqt aap sabke liye aur bhi achha ho.
Lots of love,
Abhishek Rai (Maths Mania)